Nojoto: Largest Storytelling Platform
shahzadmalik1237
  • 32Stories
  • 685Followers
  • 662Love
    1.0KViews

alfaze.ruuh

follow for follow back. Follow on Instagram for more such amazing content.

https://instagram.com/alfaz_e_ruuh?igshid=56ztctkfs36w

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

Zindagi ke safar me kon sath nibhata hai,
Koi manzil paas, koi door banata hai

Guzarte hain ek sehra se sab saath me,
Koi kuan khodta hai, koi qabr banata hai.

Hai dar kahin gum na ho jaaun is safar me,
Jisse pucho woh raasta galat batata hai.

Jab tak ho saahil par aasmaan se ladta hai,
Jo fanse toofan me toh khuda ko bulata hai.

Hai yeh ek dariya jo humse paar nahin hota,
Saahil tak pahunchne ka dar hume dubaata hai.

Yaqeen karo mera nahin kuch aasmaan ke oopar,
Tu kis aas me zameen ka ghar jalata hai.

Is arsh ko itna dil se bhi na laga "shahzad",
kuch din me logon ka chaand badal jaata hai.

©alfaze.ruuh #OneSeason  Harlal Mahato Amita Tiwari

#OneSeason Harlal Mahato Amita Tiwari

430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

ऐसा नहीं, वाकिफ नहीं! सबकी सीरत से हम,
फिर भी इस दिल को बुरा बार बार लगता है।

©alfaze.ruuh #लाइफ #Heart
430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

Madhosh rahe hum, teri kaifiyat me arson,
Ab har lamha woh kaifiyat bhulane k liye jai.

Qaid hain ab bhi hum, tere qafas-e-ishq me ,
Yeh rihai ke kaagaz, bas dikhane ke liye hain

Kyn shikwah kare hum, kyn malaal me raho tum,
Kahan likha hai, ishq ta-umr nibhane ke liye hai

Subah uthte hi  utar jaaega saara nasha raat ka,
ab saara moamla, is neend ko barhane k liye hai.

simat jaati ho tum ab gair ki baahon me aksar,
yeh nayi mohabbat kya, purana ishq chupane ke liye hai?

kami nahin hume bhi kisi hoor ya kisi pari ki,
tumse ab tak raabta, faqat woh qasam nibhane ke liye hai.

Kitna bhatka is raah-e-mohabbat par "shahzad"
Ab yeh tanha raasta, ghar jaane ke liye hai.

©alfaze.ruuh #kaifiyat  Riyashaikh Harlal Mahato Amita Tiwari  Dishant self

#kaifiyat Riyashaikh Harlal Mahato Amita Tiwari Dishant self

430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

Betabeer sawalon ke peeche kyn jaaya jaaye,
khuda ko insaanon ke beech kyn laaya jaaye.

Kya itna kaafi nahin ke tu mar jaaega ek din,
Teri ana todne ko, aur kya batalaya jaaye.

Rahi rooh ghulam bankar arson arsh par,
Faqat jism pahnkar ab kyn itraya jaaye.

Maang kar apni hifazat ki dua khuda se,
Fir Uski hifazat ka naara kyn lagaya jaaye.

Uski deen-o-duniya hai khtm kar dega woh ek din,
Aukat-e-insaan itni hai, bas sar jhukaya jaaye.

Kya kaha kisi ko maar kar jannat milegi,
Ab kisiko itna khaas bhi na banaya jaaye.

Haseen hote hain insaan-o-mohabbat ke kisse,
in kisson ko bas dil rakhne ke liye sunaya jaaye

©alfaze.ruuh #jism #Life #world Dishant self Riyashaikh Harlal Mahato Amita Tiwari

#jism #Life #world Dishant self Riyashaikh Harlal Mahato Amita Tiwari

430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

Nikal kar kucha-e-yaar se, dil bhar gaya hoga,
Jab tanha raat me woh apne ghar gaya hoga.

Aasaan nahin  yaar ko mustakil vida karna.
Koi ummeed liye dil me, aage brh gaya hoga.

Junoon-e-ishq me kar di hogi usne bagawat,
Fir junoon-e-ishq se bahut dar gaya hoga.

Andhera hoga zindagi me kabhi musalsal,
Kisi paathar par pair padh gaya hoga.

Liye dil me gubaar itna toota hoga woh,
Raat me fir aasmaan se lad gaya hoga.

Woh samudra ke khwaab liye aankhon me,
Kisi jheel me doob kar mar gaya hoga.

Kar liya hoga sabr yeh sochkar 'shahzad',
Kisi aur ki mohabbat me parh gaya hoga.

©alfaze.ruuh #lover #broken #feelings  Harlal Mahato Riyashaikh Amita Tiwari

#lover #Broken #feelings Harlal Mahato Riyashaikh Amita Tiwari #शायरी

430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

Zindagi bezaar ki meri, aur malaal nahin kiya.
Iilzaam tha mujhpar, maine salaam nahin kiya.

Jab jab aasmaan par uska bas na chala,
Tab tab usne gussa zameen par nikal diya.

Jab woh taqt bata rha tha khud ko kursi arsh ki,
Sab sajde me the aur maine kankar maar dia.
 
Tere guroore-e-bayan ne mera kya ehteram kia?
na lahje ki laaj rakhi, na lafzon ka lihaaz kiya.

Itne andhe nahin hote log ke saazish ko na samjhe,
Kuch khaamosh the smjhkar, aur kuch ne inkaar kia.

Sabne haami bhari miyad-e-soch ke farmaan par,
Maine meeyad-e-alfaaz ka bhi lihaaz nahin kia.

Laraib khuda bhahut raheem hai,tu  nahi "shahzad".
Usne is jahaan ko ab tak halaaq nahin kiya.

©alfaze.ruuh #opression #destroy  Harlal Mahato Amita Tiwari

#opression #destroy Harlal Mahato Amita Tiwari

430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

Hota hai jaakar guruub tmhare hijaab me,
Rehta hai jo mehtaab mere khwaab me.

Lagega nahin koi daagh aala adaab me,
Jo aao zulfein khol kar, mere khwaab me.

ho itni bhi fazilat kabhi mere salaam me.
Ho aise baat jaise ho mere khwaab me.

Hogi nahi gustakhi koi tmhare ruaab me,
Nazrein jhuka lunga main, mere khwaab me.

Kyn ho koi talab-o-shauq is sharaab me
Rehta hai tumhara suroor, mere khwaab me.

Uljhan hai deedar, haqeeqat ke saraab me,
Musalsal hai mulaqat,  mere khwaab me.

Nahin hai koi haqeeqat mere gumaan me,
Ho tmse raabta, nahin fir kuch mere khwaab me.

Apne raqeebon se suno tum, tmhare 'shahzad' me
Yun to main hun hi tmhara, mere khwaab me.

©alfaze.ruuh #Dream  Harlal Mahato Amita Tiwari

#Dream Harlal Mahato Amita Tiwari

430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

इतना बंटा हूं के खुद को भी कहां मिला हूं मैं,
जितना भी मिला जिसको, कम मिला हूं मैं।

नहीं दखल किसी का मेरे किसी हालात में,
खुद अपनी ही इबादतों का सिला हूं मैं।

परवाह नहीं जो हैं सब रिश्ते खफा मुझसे,
तू बता क्या तेरा भी, बस एक गिला हूं मैं।

बस सस्ता रहा मैं मेरे ख्वाबों के शहर में,
हर बे-दिल शहर में, बहुत महंगा बिका हूं मैं।

बने मेरा एहसास फकत दर्द का सबब क्यूं?
मिले कोई जर्द रकीब जिसकी शिफा हूं मैं।

क्यों पूछते हो सबब मेरी बागबानी का,
है एक फूल यहां, जिस पर फिदा हूं मैं।

©alfaze.ruuh #Love #life
430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

यूं  गिले शिकवे कर रोता है क्या?
अंजाम इश्क का और होता है क्या?

मुसलसल जुस्तजू खुद की है रायगन
इंसान इश्क में और खोता है क्या?

छाया से भी है दरकार उल्फत की,
फकत दरख़्त होने से होता है क्या.

उसके वादे  मैने झुठलाए भी नहीं
पर अपना भी कोई ऐसा होता है क्या?

©alfaze.ruuh #Drops
430e4ed02a5d9de89e82d20d074e3613

alfaze.ruuh

ज़रूरी है  



यूं गिले शिकवे कर रोता है क्या?
अंजाम मोहब्बत का और होता है क्या?

©alfaze.ruuh #PoetInYou
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile