Nojoto: Largest Storytelling Platform
nawabfarazfarooq3272
  • 10Stories
  • 24Followers
  • 57Love
    34Views

Nawab Faraz Farooqui

poet/Author of the Book 'Tabaah Shuda'

  • Popular
  • Latest
  • Video
48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

Jaha hum ek doosre pe marte the
Ab wo ped kat gya jana

Meri shayri tere husn ka aaina hai
Mera fun tera ehsaan hai jaana

Us zindagi se mera kya wasta
Jahan teri tamanna haram hai jaana

Jaun ki jo nisbat faareha se thi
Meri zindagi me wo tera maqaam hai jaana

Jis roz tumne usko baahon me bheencha tha usi pal
Tumhara 'nawab' mar gya jaana

Ab bahattar hooron se mujhe kya matlab
Mera matlab kisi aur ka ho gya jaana

Ab mere pas tumhe dene ko kuch nahi
Yani maine khud se parda kar lia jaana

Kya kaha ? Tumhe ab bhi mujhse nisbat hai
Are choro, mazak na Karo jaana

Use bhi laana chaho to leti aap
Tumse juda sab kuch qubool hai jaana

Is zindagi me badi der kar di tumne
Agli bar kayi zindagiyan udhaar lana jaana

jaana #poem

48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

kaisi tanziya zindagi mayassar hai humen,
koi tera nahi aur tu bhi haasil nahi mujhe.

bebasi ka ye kaisa nazara hai 'nawab'
tu saamne khada hai aur tera rasta nahi mujhe tanziya zindagi 

#poetry #shayri #jaunelia #nawabfarazfarooqui
48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

please Use earphones

please Use earphones #poem #nojotovideo

48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

Mujhe hijr se khauf nhi
Maine akhiri palon me tumhare sath rehkar bhi hijr kaata hai. 
Mai shayri me dil jalata raha to bhi kuch na hua
Tune Jalti mombatti ko maachis dikhai to tawajjo mili
Sochta hun tum shayriyan likhne lago to kya likhogi
Mujhe begairat use acha likhogi
Likhogi kaise mere aansuon se tumhara jampar bheeg jata tha
Ya meri bebasi ko meri raza likhogi
Tum takhallus likhogi to ek muqammal sher ban jaega
Tum mera ishara kis gul se karogi
Kagaz par mera naam kis tarah likhogi
Udhar Mehfil me tere muh se sher niklenge
Idhar chaurahon par andha raasta batlayega

Wo misre jinhe dohra dogi tum
Iz izzatafrozi par kitna ithlayega

Jo shayri se rashq karta hai har wo shaqs
Teri tawajjo ki khaatir nazmen likh jaega

Janta hun tumhari urdu kharab hai
Ishq alif se ya aain se likhogi
Bahut likhogi bhi to kitna likhogi
Tum 12 saalon ko kis tarah likhogi

Umeed karta hun tumhare alfazo ki peeche mai hi hun
Yakeen hai tum kisi aur ko soch kar likha karogi

Sochta hun tum ishq likhogi to kya likhogi
Mujhe kis tarah bewafa likhogi
 Meri maano to is pachde me mat padna
 Shayri raaton ko leel jati hai
 Jaise mai kagazo me rang bharta hu raat me
 Aur din me bahut neend aati hai

Suno wafa, ishq , waadon ka zikr mat karna
Mujhe acha ni lgega tum khud ko bewafa likhogi

Hum dono dete hain ishq ki daleelein
Judai ki kya wajah likhogi tum shayri likhne lago to kya likhogi...

#poem #nazm #urdu #nawabfarazfarooqui #dard #mohabbat #ishq #hijr #jaunelia #tehzibhafi

tum shayri likhne lago to kya likhogi... poem nazm urdu nawabfarazfarooqui dard mohabbat ishq hijr jaunelia tehzibhafi

48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

Us gali se ab mukhtasar hai guzar mera
Jaha basta tha sara shaher mera

Uski surat me ab bhi wo khalish hai,faraz
Wo dikh jaye to mushkil  hota hai basar Mera

Kar li hai ek dukan us kun-e-yar me
Kal jaha khatam ho chuka h safar mera

Ab aadhe adhure khwab me hoti h mulaqat
Tumse shuru tumpe khatm tha kabhi safar mera kun e yar

kun e yar #poem

48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

Mai aj bhi tere jism ki khusboo se mehakta hun,
Gar mai ye kahta hun to jhuth kahta hun

Tere hijr me bhi mai
Eid ke bahane kitno ke gale lipta hun

Teri moujoodgi me to mahaz roya hun,
Ab mai Sher likhta hun to kya likhta hun

Teri baaton ko yaad karke ab ,
Rota nahi hun tanzan hasta hun

Tere jane se bas yun hua hai ki
Ab mai waisa nahi hun jaisa dikhta hun

Munafiqon ne mere naam fatwa jaari kiya hai
Han ye sach hai mai tere naam pe salaam padhta hun tere badan ki khushboo

tere badan ki khushboo #Shayari

48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

kya wo din tha jab mai tujhse mila tha,
gar ek sitara tere muskan ki keemat ho, 
us din mere hisse me aasman tha

tujhse pahle bhi guzri thi aish me,
par us din haay, na jane kya tha

mere pahlu se lag kar jo tum tehli thi,
maano sang pariyon ka kaafila tha

tere lab se mera naam sunne se pahle,
mera wajood raygaan tha

tere hatheli se mere baajuon ke chulne tak
kya hosh ki mai kaha tha

pehli dafa teri zikr tujhse hi
us roz mai khusiyan mar raha tha

tere gesuon ki khusboo se wo aangan,
aaj bhj mehakta hai, us roz jo mehka tha

48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

#Pehlealfaaz ma tere bina bhi bahut kuch hun,
bas yahi ek bat dil maanta nahi mai tere bina bhi bahut kuch hun ,
bas yahi ek bat dil maanta nahi

mai tere bina bhi bahut kuch hun , bas yahi ek bat dil maanta nahi #Pehlealfaaz

48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

#Pehlealfaaz tere gesuon ki mehak se wo aangan,
aaj bhi mehakta hai, us roz jo mehka tha
48ec294f9699c61d99984dacd1a85ef5

Nawab Faraz Farooqui

marr Jane do ise jisme hum saath nahi,

mera shaher to tum thi, kya tumhe yaad nahi #MeraShehar #allahabad
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile