Nojoto: Largest Storytelling Platform
ishantjaiswal2958
  • 42Stories
  • 6Followers
  • 388Love
    1.3KViews

Ishant Jaiswal

  • Popular
  • Latest
  • Video
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

Hai se tha ka safar mein yunhi kahin kho gaye,  
Apne khwabon ko chhod, bas farz mein so gaye.  

Ishq ki talaash thi, par dard ke dariya mein doob gaye,  
Naa jaane kab hum khud se door aur zamane se jud gaye.  

Zindagi jeene ki arzoo mein bas guzarne lage raaste,  
Khushiyon ko bhula, bas bojhon mein bandhe hum raste.  

Khaabon ke sheher se door, majbooriyon mein kho gaye,  
Hai se tha ka safar mein yunhi kahin hum kho gaye.

©Ishant Jaiswal #samandar
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

Aab ki baar jo aana toh intezaar bhi saath laana,  
Sadiyon se suni hui khamoshi ko awaaz de jaana.  
Mere dil ki gehraiyon mein khoya ek armaan hai,  
Usse tum apne khwabon ka asmaan de jaana.

Jab aayoge toh mere dil ke ehsaas ko samajhna,  
Meri tanhaaiyon mein bas ek raahban banke aana.  
Waqt ne jo bandishein tum pe lagayi hain,  
Unhe apne iraadon ki taqat se tod ke aana.

©Ishant Jaiswal #UskeHaath
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

White Chaaro taraf sawalon ki parchaayi hai gheri,  
Wo purani chamak, wo rangat ab kahaan hai thheri.  

Masoomiyat bhi jaise hawaon mein ghul gayi hai,  
Aur sapne, jaise hum se khafa ho ke khul gaye hain.  
Wo din kahaan gaye jo apne the kabhi,  
Aur hum bhi toh kho gaye, apne hi khwab ke saaye mein kahin.

©Ishant Jaiswal #love_shayari
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

White Na ulajh paristhiti ke bhed mein, ae dost,  
Duniya ka dastoor hai, samjhaane chale toh mazak uda degi,  
Aur jo uske rang dhundhne lago, sukoon bhi chheen legi.  
Jo hai, use apni aakhon se sach manzoor kar,  
Bas apne kirdaar ka farz imaandari se nibhaya kar.

©Ishant Jaiswal #Sad_Status life
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

White Ushe zehen se riha karna zaroori hai,
Jo apne dastar mein panah na paa sake.
Jis ne apni fitrat mein uljhanon ka jahan rakha,
Ushe dil se alvida kehna farz hai jo sukoon na laa sake

©Ishant Jaiswal
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

White "वो आँखें जिनमें सपनों की चमक थी,
अब कहीं नज़र नहीं आतीं।
आँखों के नीचे अंधेरा कह रहा है,
तुम्हारी हालत की कहानी।

सालों से छिपाए दर्द के आँसू,
अब साए बयां कर रहे हैं।
तुम्हारे मौन दर्द को,
धीरे-धीरे उजागर कर रहे हैं।"

©Ishant Jaiswal
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

White Once, they were prince and princess of their own home,  
Now, shackled by chains of adulthood and care,  
They've become slaves to responsibility's heavy tome.

©Ishant Jaiswal #sad_shayari
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

White In the midst of bedlam,
He became an eccedentesiast,
His life slowly transforming
Into a guise of tranquility,
Concealing the chaos within.

©Ishant Jaiswal
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

Humari mohabbat faaslo ki mohtaaz nahi 
Unse dill lagai hai ye koi mazak nahi
unki yaadon mein sarabor naa rahu aisi koi pal nahi
unke gairmaujdigi mein kisi aur ka haath thamu aise bewafa hum nahi
unke alawa kisi aur se dil lagaye itni kamjor humari mohabbat nahi 
Humari mohabbat kisi faasle ki mohtaaz nahi

©Ishant Jaiswal #betrayal
b1bbf45cb78b9f42c9477f434c91283a

Ishant Jaiswal

Apno k mehfil Mein hume sahuliyat ki yaari mili
Humne toh apna samjha par yaha berukhi hi mili
Kehne ko toh hum sabke hai par badle mein hume sirf sahuliyat ki yaari hi mili

©Ishant Jaiswal
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile