Nojoto: Largest Storytelling Platform
saurabhsuryawans8436
  • 18Stories
  • 21Followers
  • 200Love
    3.6KViews

Saurabh

  • Popular
  • Latest
  • Video
b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

#Hope
b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

Waqt nahi h ab😐

Waqt nahi h ab😐 #Shayari

b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

Poochte he likhna kyu chhod dia,
Waqt ho to suno..
K Waqt nahi he ab..
Waqt Nahi he....
Ab
Sakht falsafo me unchaiyon ki duhai deti si zindgi Raabte Kalam se kam kr Dene pe majboor he,
Mere zehen me aati batein ab bass batein hi he shayad,
Lafzo ko mayno me pirona mein jaise bhool sa gaya hun,
Pahle ye aate jate log or unki zindadili,rahein tanhaiyan,raatein barish,shaam parinde,ye behta aab isq or sari kayenaat hi jese ek koora kagaz thi,
jise mann ki shyahi se jo marzi rang do,mehak uthti thi hu-ba-hu wese hi jese nayi kitaab,
Shayad alhad sa tha ya bachpana keh lo wo bhi befikr, 

Ab uljhane tamaam zamaane bhar ki he,khud ka koi hosh nazar nahi aata,
Jo pahle aaine me lagta shayar tha mujhko,
Ab wo har roz nazar nahi aata.. 

Dikhta he ek adhura sa aadam,
Ilm ka hoor nazar nahi aata,
Mein Khali Khali sa lagta hu ab,
Wo Noor nazar nahi aata.. 

Kitabein jo bethe kabhi ghanto guftgoo karti thi kisi mashuka si,
Mayoos he naraaz he ab baatein nahi karti,
Pahle din me chaar dafe ho jaati thi mulaaqat,
Ab Mahino Aankhe chaar nahi karti... 

Jo makhmali libaas mein khoob jachti thi kabhi,wo dhool ki chadar daale padi he kahin kone mein rooth Kar..
Kuch peele saafon k beech dabi Kalam bhi khafa he.. 

Aur Sach kahun..
Ab manane ka mann bhi nahi.. 

Kyuki Waqt nahi he AB....

©Saurabh
  Waqt Nahi He Ab...🤐

Waqt Nahi He Ab...🤐 #Life

b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

#storyofheart
b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

#storyofheart
b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

#storyofheart
b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

kis hadd tak saha jaye

kis hadd tak saha jaye #शायरी

b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

किस हद तक सहा जाए,
रहने दिया जाए या कहा जाए,
ये दुनिया है ज़ालिम बड़ी ही कड़ी है,
हम नरम दिल अपना लिए कहां जाये,
पैमानों पर अपने अब तक नचाती रही जो जिंदगी,
उसकी सलामती की दुआ करें या मर जाए,
आदत अदब की भी,सजा बन गई है हमारी,
चलो बेअदब होकर भी रहा जाए,
उसकी खुमारी में बेहया हुए बर्बाद हुए,
कमबख्त उसे भी तो ज़रा सी हया आए,
हर नादानी को जिसकी रखा सरे आंखों पर,
बेइज्जत भी क्या उसी से हो जाए,
उसे इल्म नहीं है अभी फकीरी का हमारी,
हम छोड़ कर पारस, सोना उठा लाए.....

©Saurabh
  #cycle
b7a6cf6b7870f5c40653910ec1f35984

Saurabh

#Fondness
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile