Nojoto: Largest Storytelling Platform
nishantkumarsing9000
  • 8Stories
  • 15Followers
  • 85Love
    693Views

Rahul

Write to express, not to impress.

  • Popular
  • Latest
  • Video
e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

White Narazgi ke Mukhauta mein,
Gussa ka Chehra hai.
Yaadein ki Bhari Bazaar mein,
Tanhai ka Samundar hai.
Tadap ki Chhavni mein, 
Udasse ka Ashiyana hai.
Jhute Vaade ki Saya mein, 
Dard ka Shashwat Sailab hai.
Anaginat Sawalon ki Dhaaga mein,
Uljhan ka Gaanth hai.
Adhura Khwabo ki Kaaragar mein, Khwahish ka Umr Qaid hai.
Mohabbat ki Rahoon mein, 
Aansuon ka Silsila hai.

©Nishant Kumar Singh
  Adhuri Kahani #love_shayari 
#sad😊

Adhuri Kahani #love_shayari sad😊

e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

White Kash ki hmm Mila n hota
Kash Milna hua  to dosti n hota
Kash Dosti Hua to pyar n hota 
Kash Pyar hua to izhar n hota 
Kash Izhar hua to kabool n hota 
Kash Kabool hua to rishta n hota
Kash Rishta hua to judaai n hota
Kash Judaai hua to yaade n hota
Kash Yaade hua to aasu n hota
Kash Aasu hua to zikr n hota
Kash Zikr hua to saanse n hota
Kash Saanse hua to jeena n hota
Kash Jeena hua to khawab n hota
Kash Khawab hua to ummed n hota
Kash Ummed hua to dard n hota
Kash Dard hua to hum  n hota
Kash hum hua to pyar n hota 
Kash ki hum Mila n hota

©Nishant Kumar Singh Kash ki hum Mila n hota❤️‍🩹
#sad_feeling_with_love

Kash ki hum Mila n hota❤️‍🩹 #sad_feeling_with_love

e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

Thak sa gaya hoon,
Khud se, duniya se, mohabbat se...
Jo mere liye important hain,
Unhe meri kadar nahi,
Jinke liye main important hoon,
Unke liye main kuch kar nahi pata.
Log kah toh dete hain, 'Saath hoon tera',
Par jab zarurat ho, sabse dur wahi khade milte hain.
Khud hi ro leta hoon,
Khud hi aansu poch leta hoon...
Aur khud hi jeene ka tareeka seekh leta hoon.

©Nishant Kumar Singh
  Weary, but still learning to live alone😵‍💫🫨🥴

Weary, but still learning to live alone😵‍💫🫨🥴 #Shayari

e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin ek jhalak dikh jaaye to, nazar hataya nahi hatta.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin uske saath ke pal abhi bhi, aankh band karte hi saamne hote hain.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin kisi aur ke saath dikh jaaye to, dil jal sa jaata hai.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin yeh bolte hue bhi, ussi ko yaad kar raha hota hoon.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin ab kya farq padta hai, jab usse hi farq nahi padta mere hone ya na hone se.

©Nishant Kumar Singh
  Farq nhi padta😒🫠

Farq nhi padta😒🫠 #Shayari

e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

Bura toh hu,
lekin itna bhi nahi jitna log bata rahe hain.
Saza ka haqdar hoon shayad,
lekin itna bhi nahi jitna log de rahe hain.

©Nishant Kumar Singh
  Lines of life🤫

Lines of life🤫 #Shayari

e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

Aajkal ki duniya mein,
Acha hona hi,
Apne aap mein sabse buri baat hai.

©Nishant kumar singh
  "इस दौड़ती दुनिया में, अच्छाई जो अनदेखी और गलत समझी जाती है"

"इस दौड़ती दुनिया में, अच्छाई जो अनदेखी और गलत समझी जाती है" #Shayari

e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

Kuch iss qadar toot ke bikhar gaya hoon,
Jaise koi sheesha toot kar farsh pe bikhra ho,
Koi kitna bhi sambhal ke samet le, chubh to jaata hi hai,
Beherhaal toota sheesha phir bhi smaamet liya jaata hai,
Lekin main to insaan hoon,
mujhe kaun smaametaga.

©Nishant kumar singh
  kuch iss qadar Tut ke bikhar 💔

kuch iss qadar Tut ke bikhar 💔 #Shayari

e3aa48a9660ea53cacbbd9e7c1b22bc6

Rahul

Ek waqt tha,
Jab raaton ko sukoon se neend liya karta tha.
Ek waqt aaya,
Jab raaton ko mohabbat ki suhani bataon se sapne  piroya karta tha.
Ek waqt ye hai,
Jab raaton ko tanha taare ginne karta hoon.

©Nishant kumar singh
  Ek Waqt 💔❤️‍🩹

Ek Waqt 💔❤️‍🩹 #Shayari


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile