Nojoto: Largest Storytelling Platform
rohitsaini5957
  • 12Stories
  • 56Followers
  • 84Love
    385Views

Rohit saini

  • Popular
  • Latest
  • Video
eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Manzil ki talash me safar aur kitna hai pata nahi,Is jahan me basar aur kitna hai pata nahi.Naye log safar me har roj milte hai,Pairo me chhale har toj khilte hai.Chubhte patharro ka dard aur kitna hai pata nahi.Thake qadamo ke sath kahi baith bhi jaoon lekin darskht me sukun kitna hai pata nahi.Raste bulate hai mujhe manzil ka wasta dekar rasto ka thahar kitna hai pata nahi.                           Har sans ke sath aas bhi guzarti hai waqt ki  reent ki tarah aur ye safar hai ki thamta nahi,kahi ruk kar aaram jo katu  to karu kaise mere tharene ka ghar door kitna hai pata nahi.

©Rohit saini kashmkas

#evening
eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Kaise shab-e-intzar guzari,tumhe kya pata zindagi kitni beqarar guzari tumhe kya pata. Ek ek lamha har sans par bhari tha,kaise har sans guzari tumhe kya pata.Gairo ki bheed me kho kar bhi akela,bin kahe jab har baat guzari tumhe kya pata. Din ke ujale me suraj ki roshni bhi achhi nahi lagti abto,shame udas jo wo gujari tumhe kya pata. Jab kabhi akele sochne baitha kabi akele me dil se, kaise khayalo ki barat guzari tumhe kya pata.                    Silwate bistar ki bhi muh chidhati hai mujhe,kaise ye raat guzari tumhe kya pata.

©Rohit saini #wetogether
eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Tanha hoon abhi raste me akela safar hai,chal raha hu ki teri yaadon ka asar hai. Na fikr kisi ke sath ki,na sath chhutne ka dar,bephikr phir bhi nahi ye rasto ka safar.

©Rohit saini #walkingalone
eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Aa bita de kuch pal sang mere yun akele me,     sath mere un yaadon ke mele me.Ki jab hum muskurate the tanha masoom si muskaan ke sath,khan kho gayi wo khushi duniya ke jhamele me.                               Har rang ko dekha hai sang tere duniya ke,phir kyun udas hai mujhe chhod ke yun aandhre me.Abhi bhi bhut kuch hai dekhna sang tere duniya ke basere me chal phir bune koi khwab akele me.                     Koi sath na dega tera na mera koi,roi hai tu jab jab ratoo ko chhup kar,meri bhi aankh num hui hai akele me.           Fark sirf itna hai tujhe sahara hai mere kandhe aaj bhi,mujhe to takiya bhi dhoodhna pada hai akele me. Itni bhi kya khamooshi hai tere mere darmayaan,aa phir tu mera haath tham chale phir kahin hum phir se kho jaye kahin aakele me. kuch tum kehna-kuch meri sunna doo pal phir se ek dusre ko hum akele me.

©Rohit saini Manuhar
#withyou

Manuhar #withyou

eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Kyun lagta hai yu ki tum udas ho,meri kisi baat se naraz ho.ek tum hi to jisse kehta hu haal har tarah se dil ka,door ho to kya tum hi mere pass ho.raton ki tanhai me dil ki baat kisse karu jab tum hi udas ho,mere jiwan ki tum hi to aas ho.    haan hota dard mujhe bhi tere dard pe,par apna dard main tumhe kaise kahu,kaise tumhe nahi ya kahu khud ko kamzoor karu.tum too ro bhi deti ho kabhi tadap kar-2,main apni tadap kise kahu....               tham kar teri kandho ko main chahta hoon tumhe mazboot karna,par apni kamzori main kaise kahu.hoti hai shikan tere maathe par,too mera dil bhi tar-2 hota hota hai.   dikhta nahi kisi ko mere bhitar ka dar,kyon ki maine na rukna seekha-na jhukna kabhi....kyon ki tum mere sath ho.                ehmiyat kum nahi hai tumhari kyon ki tum wo ehsas ho,meri aankho me phikr bhi tumhari aur dil me jazbaat bhi,pat zuban se kehna hi to nahi aata,na aata hai dikhawa karna kisi ke samne,mujhe pata hai ki tum tham logi mujhe par tumhari aankhe bhi num ho jayengi.                main phir bhi nahi kahunga apni bebasi.....kyun ki mujhe pata hai ki tum mere sath ho.aankhe  meri bhi lal hoyi hai,numi se bhi too kabhi gusse se jujhte hue khud ke andar,par tutta nahi chahta kahin bhi,kyon ki tum bikhar jaogi tutkar.nahi chahta ki haru kahin bhi,par darta hoon kuch khone se,apne aap ko dhhone se.                            chahta hoon ki tum bhi bano sakht dil se nahi upar se sahi,aur bachana chahta hoon tumhare wazood ko.banana chahta tumhe tumse behtar,kyon ki tum meri na sirf aas ho balki tum ek ehsas ho.....kyon ki tum mere Khwab ho,mere ehsaas ho aur hardum mere paas ho.

©Rohit saini #allalone
eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Aa en lamho ko chhupa le kahin dil ke kisi kone me,ye wo pal hai jinhe dhhondhte the kabhi. Aur kuch too manga na tha khuda se kabhi ek tere sath ke siwa.          Do labon ki khamoshi ho sirf  aankhon se baat ho,koi zumbish na ho juban ki bas dil se dil ki baat ho.                 Thaher jaye wo pal do ghadi ke liye zehan me, Kahin koi esi apni mulaqat ho,            shiqwa na koi shikayat ho,palkon ki chhaon ho aur ishq ki barsat ho.           Seeyah andhero me khamoshi se koi esi mulaqat ho.             Door kahin duniya se bekhabar sirf khud ki parwah kare,Kuch tum kaho dil ki,kuch suno khamoshi se,tanha kahin khud ki apni bhi ek raat ho.                                Na roshni ho chand ki,na taro ki barat ho kuch pal ko sahi sirf tera saath ho,Na zikra ho zamane ka,na duniya ki koi fikar sath ho.                            Kisse bhut hai kehne ke liye...2 Us pal bas teri aur meri baat ho, Tu muskuraye bas yuhi bewajah aur main gunganu tumhe dekh kar,                                Ek baar,kuch lamho ki apni ek esi mulaqat ho.

©Rohit saini #wetogether
eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Aaj uthi hai phir kalam socha kuch likhu,Dil ke asyine me jhank kar kuch likhu,Soti aankhon me sabjbaag hai bahut yhan jagati aankhon ke kuch khawab likhu,Karu kya tareef main alfazon ki teh laga kar,teri shakhshiyat ko main chamakta aaftab likhu,Ek nayi kashish lekar khilne ki tamanna hai,pta nahi kise gazal kahu ya kise mahatab likhu,Khayalo ke dariya me sonch ke moti hai bahut,  Aa baith kanhi mere nazdeek mere humdum,Koshish kar tere par kabhi main koi kitab likhu.

eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

kuch yun dhal rahi hai zindsho,renth se har pal fhisal rahi jai zindsgi  Kabhi bachpan ki nadaniyon si kahin,kahin gaam ke dariya me got lagati,Apne safar pe nikal rahi hai zindagi.        Kahin wafa ki barishe,kahin shole hai rudhwaiyon ke,           Sang meri saanson ke dhadkan sichal rahi hai zindshi,Sambhalna bhi seekha,girta hoon dagmaga kar kanhi,Yun girte dambhalte na jane kaisee aye khuda sambhal rahi hai zindagi.

eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

sadagi si zindagi

sadagi si zindagi #Nazm_Jo_Dil_Ko_Chu_Jayein

eac08c0e860e11678f42dbab6f0a1746

Rohit saini

Sadgi si hai zindgi chalo ese kuch siyah kare.Kahi beth akele mein,kuch khud ki parwah kare,batein kuch ankahi dil se kahe.Ya kuch sune dil ki,chalo dil ke saath guftagu ki yuh inteha kare.Is muqddas zamane  mein kaun kis ki  sochta hai,chalo yu hi dili yado ka tayar ek karwaha karein bahut zelein hai bandeshein zindagi ki har kasam chalo kuch pal khud par bhi yuh zayar karein. Moh moh ke #Dhaage

Moh moh ke #dhaage

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile