Nojoto: Largest Storytelling Platform
kayenatkamal2492
  • 113Stories
  • 199Followers
  • 893Love
    1.0KViews

Kayenat Kamal

Lover of art coz art gives soul to life and makes us human.

  • Popular
  • Latest
  • Video
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

kahani

kahani #Life

ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

shinaakht

shinaakht #Poetry

ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

babri 
#BlackDay 

#Hope
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

Umr

#LOVEGUITAR
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

#menhealthmonth
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

Umr -

Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue, 
Ek umr hai guzri sab seekhte sikhate hue. 
Numm jazbaat aur adhoori khwahishon ko samete hue, 
Ta umr rahe safar mein hum manzilein talaashte hue. 
Hai shukria unka jinhone haal hai pucha, warna sab hain apne ghum zamaane mein uthate hue.
Kisiko paas laate hue, kisise durr jate hue. 
Tumhein nahi dikhta uski dilkash duniya ka ghum yaaron, jo kitna lutt chuka hai yahan sab kuch kamate hue. 
Unhe bas ik hansi aur thodi si muskaan de dena, jo khud se khafa hai sabko manate hue.
Masroofiyat ko do ghadi karke kinare tum, kuch lamhein dena unhe jo mitt gaye tumko banate hue. 
Zindagi darya hai, behna hi iski rawaani hai. 
Baraks (contrarily) sadiyan guzarti hain bichchdon ko bhulate hue.
Kisiko paas laate hue, kisise durr jaate hue. 

—@Kayenat Kamal.

©Kayenat Kamal #WorldAsteroidDay
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

Naya Saal

Fanaa ki qurbat sath laata hai
Lamha apni rawaani se chala jata hai. 
Kya Naya saal aur kya ehsasaat, 
Fir na ubhrenge wo saare jazbaat. 
Hayaat e umr yun hi guzar jaegi, 
Waqt ke sath ek aur subh aegi. 
Jashn e Naya saal phir manana kaisa? 
Anjuman e sham phir sajana kaisa? 
Har pal mein zindagi hi guzarti hai, 
Sukoon ki talaash mein yun hi safar karti hai. 
Rukhsar pe masarrat kabhi leke aao to, 
Mazloom ko yun na satao to. 
Zeest ko gulzar banao to sahi. 
Tars makhlooq pe kabhi khao to sahi.
Zindagi chaar din ki tafreeh hai, 
Maut hi asli hayat rakhti hai. 
Dunia ek imtihaan ki takhti hai. 
Fanaa hona hi sabki hasti hai. 
Kya Naya saal kya nayi baatein? 
Wahi har roz wahi raatein. 
Ae bani adam kuch to badlega. 
Masnad (throne) o meezan (balance) kuch to badlega.
Kuch naye raaste bhi ayenge. 
Kuch nayi manzilein banayenge. 
Kayi umeedein phir hawa hongi, 
Kuch uljhane phir rawaa'n hongi. 
Kahin pe chashm e numm honge aur hazaaron ghum honge. 
Koi dana (wise) zawal khayega. 
Kahin koi aur zaahir ho jaega. 
Koi jashn e shadi rachaega, 
Kahin roodad e ghum sunaega. 
Koi ghurbat mein fakeeri khayega
To kise zaalim ka darr sataega. 
Kahin mazloom sar uthaega. 
Kahin insan se insan khauf khayega. 
Phir zulm pe azaab tootega
Koi haqparast phir se inqelaab layega. 
Ek naya saal phir se ayega. 

Is naye saal mein zindagi nikhar jaye. 
Qalb e rooh yun khushi se bhar jaye. 

Naya saal mubarak.

©Kayenat Kamal #nayasaal
#ColdMoon
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

Wo Shakhs

Wo khamosh lab, bechain ankhein kya dekhi kisine uss shakhs ki hai? 
Na ashk hai behte, na hota gila hai — bhala kitna hai sach ye tumhein kya pata hai! 
Sunta raha jo bhi sabne kaha, 
Kabhi kuch na bola jo dil mein raha. 
Wo roya kabhi na, na khush hi raha.
Kabhi yun laga use ghum hi na hua.
Tab lab khul pade wo ye kehne laga, aisa nahi hai ke ghum hi na hua. 
Bas itna hai seekha ke ho chahe kuch bhi ladke yahan dekho rote nahi.
Isi seekh mein hai guzri jawani. 
Main sach keh raha hoon, yehi hai meri kahani. 
Bas andar hoon rakhta aur jeeta hoon ab, ghum ho ya shikwa chahe jo ho sab. 
Qatre bahaun ya dil ka sunaun? 
Lagta hai darr, kya apna darr bhi dikhaun? 
Sochta hoon ho aisa to kitna sukoon hai, 
Par na hai ye mumkin ye mujhko yakee'n hai.
Khwar hua hoon kitna ye tumhein kya bataun. 
Bezaar hua hoon kitna ye kaise dikhaun? 
Hua hoon muqeem ( stagnant) main phir bhi rawaa'n (flown) hoon.
Nahi hoon main patthar par ye maana gaya hoon.
Main aisa hoon shakhs na samajh paoge, mera wajood jaan kar khud hi thak jaoge.
Aur main jo roya yahan dekho darr jaoge. 
Main sunti rahi kuch bhi na keh saki. 
Wo rone laga maine toka nahi
Muddat se tha jisko roka gaya, 
Kaise sailaab bankar aaj behne laga hai. 
Ro kar jab muskuraya wo khil sa gaya hai.
Main phir kaise kehti wo khamosh lab, bechain ankhein kya dekhi kisine us shakhs ki hai?

©Kayenat Kamal #woshakhs

#LostInCrowd
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

Yun bematlab si, bemaani zindagi ke kuch ashaar liye, 
Hum chal rahe hain raahon mein khud ko dushwar (difficult) liye. 
Kuch khwab the jo reh gaye tabeer ke baghair. 
Kuch saath the jo reh gaye haasil ke baghair. 
Sabit qadam rahe hum magar Dil e Muztar (anxious heart) ko lachaar liye. 
Apni zaat kho kar jo paaya humne, ehsaas hai uska, 
Jo kho gayi akhir wo chiz kya thi? 
Ik tamanna thi khud se aashnayi ki, 
Jo reh gayi Raghib (desirous) se qareeb wo chiz kya thi? 
Aur is tarah laute hum khwahishon ko beqaraar liye. 
Kuch likhi hain kahaniyan, kuch dastaa'n hai sunayein. 
Kahin unkahe lafz bhi hain jazbaat ke baghair. 
Phir kyu hain umeed mein khade ankhon ko bezaar liye. 
Mumkin hai maut ki tadbeer karna lekin, kya zindagi ka ilaaj hai koi? 
Guzishta (past) lamhon mein guzar rahe hain hum tum, 
Shab hai, firaq hai, hum yun hain tanhai ko intezaar liye.

©Kayenat Kamal #SunSet
ecd90d295038a584f61b7c3249e48116

Kayenat Kamal

Mushtael (Angry) hue ho kis baat pe itne, 
Kya baat hai taari jo sata rahi hai? 
Kis baat pe badhawasi hai chhayi, raaton ki neendein kyu gawa rahe ho? 
Kayi raatein kaati hai tumne jagte hue hi, aankhon ki surkhi kyu chhupa rahe ho? 

Na shikwa tumhein kisi aur se hai, shikayat to bas khud se kiya hai. 
Logon ki tohmat musallat kar khudpe kyu wajood ko apne mita rahe ho? 
Mushtael hue ho kis baat pe itne, 
Kya baat hai taari jo sata rahi hai? 

Toofan ho samete andar dil ke, ya darya hai jisko chhupa rahe ho? 
Kyu sehte ho itna ke dum bhi na nikle, bata kar to dekho kyu batate nahi ho? 
Hanste ho rehte tum dunia ki khatir, 
Khud apne hi khatir kyu muskarate nahi ho?

Posheeda(Hidden)  jo rakkha hai dil mein dikha do, na bane baat to khudko shayar bana do. 
Kis tasadum (Conflict) mein ho ye dikhta hai lekin, jo chahte ho karna usse marhale (difficulties) kam na honge. 
Larazti si saansein, wo hantho mein khanjar, hai phaili udaasi, ajooba hai manzar. 

Kya kar rahe ho ye kyu kar rahe ho, zindagi ki talaash mein kyu mar rahe ho? 
Ruk jao zara, sambhal jaoge. 
Yun wehshat mein khudko na nazar aaoge. 
Bazaat e khud  (Oneself) ko mitana jo asaan hota, seene mein dard yun na mehmaan hota.
Nazrein uthao aur dekho unhe jo 'Na tum sa hai koi', ye maante hain.
Tum jaise ho waise tumhein chahte hain.
Do parwaaz unchi aur unhe ye batao, na thake ho tum na rukoge kabhi.
Tamseel (Example) ban jahan ko dikhao, zaat tumhari be-nishan nahi hai.
Ho mehtab koi tum apne chaman ke,
Raaton ki kirnein ye bata rahi hai.

©Kayenat Kamal nazm

#steps
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile