Nojoto: Largest Storytelling Platform
shayaraar7970
  • 264Stories
  • 52Followers
  • 2.4KLove
    90Views

Roshini

i_shayara(insta id) kal ka kisey intezar hain, mujhe harlamhe main jine ki shouk hain, lafzo main nahi shayari main dilka baath bayan karna yahi meri adath hain..

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Aakhir Har Koi Hain 'Banjara' Iss Duniya Ka

Aur Har Koi Ek Eham Sawal seene Mein Le ghumte Hain

Koi zindagi ke maksad ko Sawal karte hain

to Koi Khud iska Jawab Ban jate hain

Aakhir Zindagi Kya Hain?

 Ho Agar Khayalon Ki Kashti to uska ulta Chalna?

 ya Kuchh fere Hue Khwabon
 Ke darvazon ko apnana!!

Kabhi Anjan manzilo Tak
 pahunchne Ka hausla Rakhna?

ya Kuchh sawalon Ke Jawab dhundhte
 Khud uska Jawab Ban Jana!!

Aakhir zindagi vahi hain
Jis disha Mein khadam chalte hain

Kabhi sawalon mein ,tho kabhi jawabo mein 
khud milte hain......

©Roshini
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Vo Mere khayal ka khayal rakhte hain

mere khwaishon ke bageeche mein

har paudhe ka khayal rakhte hain


kabhi kho jaati hu khayalon mein

ki hoga bhi kya anadaza sabko

iss khuda ke Ahem toufe ka?


aakhir aisa ek mere papa hi rahain

jo khud mujhse ruthkar bhi

manaya bhi mujhe karte the...

©Roshini
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Hum dilko raazi hona thoda sa kya sikhadiya

Ye anjan balaon ko galey lagakar bhait gaya..

©Roshini #Thinking
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Suna hain rishte paudhe hote hain

Inhe Roz baat aur ek dusre ka haal
 jaan na zroori hota hain

Warna paudha sookha hain ya margaya fark ka fark nhi padta hain..

©Roshini
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Aakhir yaadon ki sasta nasha
tum kab tak dete rahoge

Ek firse taazi yaad banate hain 

Chalo aaj phir ek dusre ke aur kadam badhate hain

Tere phirse do kadam honge vus rab ke aur aur unke 100 kadam honge tere aur

Bhulgaya jo fazr par utna toh uspar 
hi kyu tu afsos karta hain 

Aakhir Zohar main bhi toh vus khuda ki badayi bayan kar sakta hain..

©Roshini #BooksBestFriends
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Vo mera jaana  dushman  tha 
Toh usey pyaar karna sikhadiya..

©Roshini #mukhota
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

The mountain, Laashein bhi jee lete hain
apne apne jagah rehkar 

Tum fir kyu fark nahi rakhte
kis waaste tum ruke ho?

Manzil tumhe bula rahi hain
Kuch na mile toh na sahi!!

Safar toh aakhir tai hain na
jeet na mile toh na sahi 
tajurba toh aakhir tai haina...

©Roshini #mountainclimbing
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Teri maujudgi hi meri daulat hain

Tere bina ho koi agar khwaish

 vo har khwahish par meri laanat hain

Mumtaz ke bagair taj mahal toh sirf diware hain

Agar ho zindagi maa ke bagair to vo zindagi

 aakhir taj mahal⚰️ hi toh hain..

©Roshini #MothersDay2021
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Usne 'wakth' se kaha zara dheeme chalo

Usko meri zara si bhi kami mehfooz honedo

Mera kya main bhool hi nahi paata

kaash ek ishara wakth ka aisa hota

ki usey bhi yu lagta kaash vo abhi yaha hota..

©Roshini #findsomeone
f7b0a93e3b09df307b778f15e5c3be29

Roshini

Hum likhna jo shuru karde

lafzon main kainat samet denge
 
Hala ki Bohot hi kam lafz istamal karenge

Par har lafz mein tumhari hi taarif bayan kardenge...

©Roshini #AWritersStory
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile