Find the Latest Status about army brat poem from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about, army brat poem.
PRASOON KUMAR
Poem This poem is tribute to..the pain of mothers of an Indian army soldiers... Diwali pe ghar aaoge..? Ye sawal sunne ne thoda bechida lagta hai na? Akhir diwali pe kon ghar nhi jata. Diwali to ghar pe he hoti hai na? Sab logo ke sath , dost, rishtedar,dher sari mithayaea..naye kapde, shopping aur wo der raat tak battein..hai na? Diwali ane wali hai...and Jay ki maa ke Jahan me ye khyal baar baar kiu aa raha hai ,ki jay es baar diwali pe ghar ayega ki nhi? Aisa kon sa beta hota hai,jo diwali pe ghar nhi ata .. Pichle baar baat huye thi ,to kah raha tha ki kaam thoda jyda hai ,sayad thoda muskil hoga ana.. Par usne chhuti ki arzi daal di hai,jab bade saheb ko milegi to wo chutti manzoor kar dege .. Jay bhi to ghar ane ko betaab tha.. Aai,baba sabse Milne ko dosto ke sath matargasti karne ko.. Edhar Jay ke man me ye sab khyal chal rahe the,.... Udhar maa ne bhi apne sapne saja rakhe the ..ki Beta es baar ghar ayega to uske haath pile kar dungi... Are shadi na shi ,sagaye to kar he skte hai na? Usme koi dikkat bhi nhi...? Nayi Bahu aygi ghar me,ghar me khusiya layegi ....aur sab khushnama ho jayga.... Aur kiuki beta ek arse ke baad ghar aa raha tha...to Maa ne sabko sabki zimmedariya saup di thi.... Ek hafte pehle he ghar ko dulhan ke tarah Saja diya jayga.... Kon Jay ko station lene jayega... Kon Jay ke liye kharidariya karega... Aur ..uski man pasnd kaju katli,wo bhi to Lani hai....wo kon layega? Maa ne sabko sabki zimmedariya saup di thi.. Aur Jay ka swagat..wo to maa khud karegi.. Thalli me kon se phool rakhe jyge...ye bhi Tay ho chuka tha... Maa ne sab tyariya kar li thi... Ye to thi jo maa ne tyariya ki thi..... Aur udhar the Jay ke dost,Jay ke yaar,Jay ka bhai... Jo apne bhai ka bhut besabri se intezar kar rahe the.. Wo intezar me the.....ki kab Jay aayega,aur hum phir mehfil sajyege... Puchne ke baad pata chala diwali to bhut joro shoro se manye ja rhi hai... Jay se baat hue...to usne batyi Diwali bahut joro shoro se manye ja rahi hai... Sharhad ke es paar bhi... sharhad ke us paar bhi... Farak bas itna sa hai...ki .patako ki jagah bomb phut rahe hai ...aur Phuljariyo ki jagah pe log jal rahe hai... Thore dino tak sharhad par aisa he mahool tha... Par diwali ke kuch 2 din phele... mahool santh ho chuka tha... Jay ke ghar ane ka wakt ho chuka tha... Akhir kar Jay es diwali ghar aa he gyaa.. Finally Jay es diwali ghar aa he gaya ... Par ye kya .wo itna chup chap sa kiu hai... Wo kuch bol kiu nhi raha hai .? Sab log ke akhein itni nam kiu hai..? Ye jo diwali ke Jasan ki tyari thi...wo ek sanghen chupi me kiu badal chuka hai....*2 ©PRASOON KUMAR poem #army #New