Find the Latest Status about sarkash in hindi from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about, sarkash in hindi.
Kayenat Kamal
Main khudgarz utni hi hoon jitne tum. Main kyu Waza - e - begharaz banu? Mera lehja utna hi chashni hai jitna tumhara. Main kyu Shaistaghi ki misaal banu? Gar tumhein shauq - e - husn hai, Toh sang - e - marmar ka mehboob le aao. Meri rukh - e - munavvar tumhari paband nahi hai. Main fasahat ka samaan nahi hoon, hayaa ka farmaan nahi hoon. Main tumhari Khayaal - e - yaar nahi hoon. Tumhari ghamkhwar nahi hoon. Main tumhari taajdari ki mahkoom nahi rahi. Tumhari chahaton ka markaz nahi rahi. Sarkash
Sarkash
read moreKayenat Kamal
Yeh bediyan mujhe na ab rok sakengi, maktabe na ab tok sakengi. Zulmat - e - Muaashre se hai baghawat meri. Kamzor - o - kamzarf nahi hai tadbeer meri. Main tumhare nazam - o - nasq ka tawaaf bhi kar chuki hoon. Yeh ghumaan hai tumhara ki araish hai tarteeb meri. Sarkash
Sarkash
read moreKayenat Kamal
Tumhari bay hissi sahu'n barson, Batao ye kaisa ahd - e -wafa tha? Jab ki main woh sitara hoon jisne tumko mehtab kiya tha. Main shaheen hoon, mera tajassus mujhe falak tak le jaega. Zamane mujhe bhool bhi jaye to kya, Ahl - e - wafa mujhe duaein denge. Zanjeeron mein jakda wajood ek muddat se hai. Par iss yaum - e - mazloomiyat mein gulfishan hai mehfil meri. Yeh sadaa har - su hai. Sarkash
Sarkash
read moreKayenat Kamal
Haan Main Sarkash hoon, Be - usool hoon. Main Pairvi - e - kizb - o - riyaa bhi hoon. Unn saazon ki naqashi suroor main nahi. Unn takhayyul mein basnewali hoor main nahi. Main khwahishon ki ghulam hoon. Main zinda hoon, figaar hoon. Main burj - e - khudparasti hoon. Main anaa ki hadd bhi ho sakti hoon. Mumkina tum mere kareeb kabhi naa aa sako. Chahe tum mujhe zard patton ki dheir samjho. Main kyu armaan - e - saraab ki pehredaar banu? Sarkash
Sarkash
read moreMannZaid
Bahut Sarkashh Ho Gayi Ho Tum "mann" Itne Dard Hain, Phir Bhi Muskuraye Jaa Rahi Ho... #mannzaid #sarkash #dard #muskurana #deep #shayari #yqbaba #yqdidi *sarkash-(ziddi,baagi) PC- Advocate KAUR
Ritika Vijay Shrivastava
कच्चे माटी से मन को जिसने, एक सकल साॅंचे में ढाला है। चंचल बालक के मन को तुम्हीं ने, अज्ञान स्याह से निकाला है। जीवन में हमारे नि:संदेह यही तो, एक उम्मीद का दीप जलाते है। यक़ीनन,..ये शिक्षक कहां भुलाए जाते है? ©Ritika Vijay Shrivastava #Teachersday in hindi love in hindi poetry in hindi hindi poetry love poetry in hindi hindi poetry on life
#Teachersday in hindi love in hindi poetry in hindi hindi poetry love poetry in hindi hindi poetry on life
read moreSuparna " दिल की बातें "
White भातर कि आजादी का 78th वर्ष मुबारक। सब देश बासीओं को..... ©Suparna " दिल की बातें " #happy_independence_day # motivational shayari in hindi# motivational thoughts in hindi# motivational quotes in hindi# motivational story in
#happy_independence_day # motivational shayari in hindi# motivational thoughts in hindi# motivational quotes in hindi# motivational story in
read more