Find the Best Baje Shayari, Status, Quotes from top creators only on Gokahani App. Also find trending photos & videos aboutraat ke baje the 11 tony kakkar, thotha chana baje ghana story in hindi, in dhadkano me baje song, music bajega loud to radha nachegi, bajendri pal in hindi,
AMIT PANDEY
😊muskuraiye aap Lucknow ke bare mein Janna ja rahe hain😊 🏢Lucknow University mein chhatra sangh chunav hone per hone wali masti ⛱️gomti riverfront par bitaai jaane wali sham subah subah chai ke thele per band makan aur chai ki lagai jaane wali chus kyunki jaam radhelal ka kasht"🏫 Lucknow public School jaane wale bacchon ka basta Lucknow valo ka nawabi andaaz style mein sabke baap 🌹tehzeeb main "pahle aap" uttar Pradesh ki hai yah rajdhani kuchh is tarah sa hai hamara Lucknow ki kahani 🌃Lucknow ki sham doston ke sath baten tamam ya ha Lucknow ki saan polytechnic chaurahe ke biryani ki dukaan ke paas chup chup ke piya jane wala jaam subah ke 10 baje aur sham ke 5 baje hazratganj chaurahe per lagne wala jaam🚦 ye hi saab too h Lucknow ki saan #MeraShehar
Mansi bansal🌸
Raat 11 Baje Usne Kaha, Yar Meko Neend Aarahi hai, Main sone Jaaraha hu.. Mene Kaha Theek Hai.. Mujhe Nind Ni Arhi Thi To Main Humaare Puraane Chats Padtii Rahi.. Vo Aadhe Ghante Tak Online Hi tha.. Or Jab Mene Use 12 Baje Call kiya To Kuch Yu Sunne Ko Mila... The Number You Are Calling Is Speaking To Someone Else....😅 #Scene_from_one_of_my_old_memory..😅
#Scene_from_one_of_my_old_memory..😅
read moreNazeer muhamad
dhun dhun main dhun baje saval yaar illahi ki jiss ke saaj sarngi baje sab sur or taal illahi ki taal illahi
taal illahi
read moreDRx. ARBAAZ PATHAAN
compromise kya hota hai...? 1. zaruraten padne par apni apni zaruraton ko kam kar dena. 2. jeb me paise na hone par 10:00 baje ki duty ke liye 6 baje uthkar 12 k.m. cycle se jana. 3. Vo girlfriend ke chhod kar chale jane me apni naukari se dosti kar lena. 4. Roj raton ko hollywood ki action movie dekh kar sone ke bajaye subah jaldi uthne ke dar se 09:00 baje so jana. aur bhi bahut c baten hain fr kabhi..... Wr.jess khan Prinal Royal Abhikash Sayer रोहित तिवारी Shayar राणा नवीन सिंह
Prinal Royal Abhikash Sayer रोहित तिवारी Shayar राणा नवीन सिंह
read moreVasundhara
Baat kuch saalo puraani hai magar mujhe aaj bhi vo burkhe k peeche ki bhoori aankhe saaf yaad hai. Aankho mein kuch sawaal, sawaal insaniyat se. darasal mere ghar se 3 makaan door ek khala rehti thi jo roz paune do baje apne chautre par bahar aati, haath mein ek khilaune wali gadi liye, uspe jami dhool ko apne burkhe ke kone se saaf karte hue aur seene se lagaye us gaadi ko mano kisika intezaar karti aur thik dhai baje vapas andar laut jaati. Din ke bas un 40 min mein unka deedar hota, mohalle mein nayi thi toh shayad isiliye andar hi rehti thi. Maine kai dafa yehi 40 min ka silsila apni chhat se dekha, lekin ek din mujhse bardasht nhi hua aur apne sawalo ka jawab dhoondhne mai seedha unke chautre tak jaa pohochi, vahi paune do baje. “baat kya hai khala? Aap roz yaha kiska intezaar karti hain?” vo jhhat se boli “humare shehjaade amir ka”. Ye sunte hi mere mann mein sawalo ka bhavandar khada ho utha, kon amir, kaha h amir, kab ayega. Maine koshish ki poochne ki magar unki aankhe keval amir ko talash rahi thi aur meri baato mein unhe shyad koi dilchaspi nahi thi. Bhot koshisho ke baad vo akhir taiyaar hogayi batane ko ki “amir kon?” “16 december 2014, amir jaan ki satvi salgirah thi. Shehjaade ki farmaish thi ek nayi khilaune wali gadi. Salgirah se ek roz pehle bhot zidd ki, itni ki gadi na milne par subah school jaane se bhi inkaar krdi “ammi, hum school nahi jayenge, jab tak humari gaadi nahi ajati, hum yahi rahenge” lekin fir roothe amir jaan ko manane ki anginat koshishe shuru hui. “beta zidd nahi karte, abh aap bade ho gaye na, thodi samjhdaari dikhaya karein, ghar vapas aate hi aapko gaadi milegi. Pakka vaada” school bus ki awaaz aai aur amir jaan acche bacche ki tarah apna bag, bottle tang kar aur joote pehenkar bus ki aur bhaage. Amir ko sewaiyan bhot pasand thi, toh us roz hum sewaiyan banane ki taiyaari mein lagi the. Hume khaana banate hue radio sunne ka shauk tha. Jaise hi cheeni ka dabba haath mein lia, radio par gaana bajna band hua aur ek khabar aai ‘peshawar ke army public school pe hua talibani hamla, kareeb 100 masumo ki gayi jaan aur kai hue ghayal’. Sunte hi humare haatho se cheeni ka dibba gira aur mano zameen khisak gayi. Tabhi darwaze par dastakh hui aur humne ghadi ki aur dekha. Abhi toh paune do bhi nahi baje the, amir ke aane ka time nhi hua tha fir darwaze par kaun aaya hoga. Aisa laga humare pair jam gaye, darwaze tak jaana ek jang nazar aa raha tha. Jaise taise darwaze ki aur badhe, khola toh hari vardi mein ek fouji khade the. Unke haatho mein ek bag, ek bottle aur ek joota. Khoon se lathpath. Us roz humare amir jaan school toh gaye, magar vapas aaya toh bs ek bag ek bottle aur ek joota. Tab se hum roz yahin baithkar unka intezaar krte hain, hume pata hai ki ek roz vo jarur lautenge, vo sirf humse naraaz h. ek roz vo jarur gaadi dekhkar apni ammi jaan ko bhaagkar seene se laga lenge.” Us din mujhe ehsaas hua ki ek aur hum jaise kuch log hain jo mehez wakt kaat rahe hain aur ek aur khaala jaan jaise log jinki zindagi bs ek hi arzoo mein nikal jati h. unke paas kuch na hote hue bhi jeene ka sabse bada maksad tha. Ek chah thi ki shayad kuch din aur jee loon toh amir jaan laut aaye. Vo taarikh jo shayad na apko yaad thi aur khaala jaan se milne se pehle na mujhe, vahi Tarikh kisi ki zindagi ka sabse kadva sacch ban gayi. Us din mere andar itna dard bhara ye soch kar kin a jaane aisi kitni khala jaan hain jinke amir abh kabhi nahi lautenge. #Khalajaan #nojotocuttack #imagism
#Khalajaan #nojotocuttack #imagism
read moreRaj
पैरों की पायल wo payal tere pairo ki kuch alag hi uski jhankar thi din me baje to lage apsara h koi raat me baje to lage chudail aa gai😂😃😃 #payal #chudail #apsara #din #raat 😆😆
Abhishek Singh
ek time tha jab wo 3 baje tak baat karne ke baad kehti, babu aapko neend nahi aa rahi.. or aaj 3 baje uski yaad aane par hume sari raat neend nahi aati..... Harshul Pandey Jaidev Guru Pushpa Lata Bharti Jahangir Iqubal Anjan Roy ^√Ghost¥writer^™
Harshul Pandey Jaidev Guru Pushpa Lata Bharti Jahangir Iqubal Anjan Roy ^√Ghost¥writer^™
read moreAshutosh
Modi ji 4 baje jaagte hain, Yogi ji 3:30 baje jaagte hain, Main 2:30 baje sota hnu.... Bs bich ka 1 ghanta koi dekh le toh desh surakshit hai..