duur rah kar na karo baat qarīb aa jaao yaad rah jā.egī ye raat qarīb aa jaao ek muddat se tamannā thī tumheñ chhūne kī aaj bas meñ nahīñ jazbāt qarīb aa jaao sard jhoñkoñ se bhaḌakte haiñ badan meñ sho.ale jaan le legī ye barsāt qarīb aa jaao is qadar ham se jhijakne kī zarūrat kyā hai zindagī bhar kā hai ab saath qarīb aa jaao ©Mohd Arsh malik poet sahir Ludhianvi #moonlight