havas-nasīb nazar ko kahīñ qarār nahīñ maiñ muntazir huuñ magar terā intizār nahīñ hamīñ se rañg-e-gulistāñ hamīñ se rañg-e-bahār hamīñ ko nazm-e-gulistāñ pe iḳhtiyār nahīñ abhī na chheḌ mohabbat ke giit ai mutrib abhī hayāt kā māhaul ḳhush-gavār nahīñ tumhāre ahd-e-vafā ko maiñ ahd kyā samjhūñ mujhe ḳhud apnī mohabbat pe e'tibār nahīñ na jaane kitne gile is meñ muztarib haiñ nadīm vo ek dil jo kisī kā gila-guzār nahīñ gurez kā nahīñ qaa.il hayāt se lekin jo sach kahūñ ki mujhe maut nāgavār nahīñ ye kis maqām pe pahuñchā diyā zamāne ne ki ab hayāt pe terā bhī iḳhtiyār nahīñ ©Mohd Arsh malik poet sahir Ludhianvi #feelings