Mai aj bhi tere jism ki khusboo se mehakta hun, Gar mai ye kahta hun to jhuth kahta hun Tere hijr me bhi mai Eid ke bahane kitno ke gale lipta hun Teri moujoodgi me to mahaz roya hun, Ab mai Sher likhta hun to kya likhta hun Teri baaton ko yaad karke ab , Rota nahi hun tanzan hasta hun Tere jane se bas yun hua hai ki Ab mai waisa nahi hun jaisa dikhta hun Munafiqon ne mere naam fatwa jaari kiya hai Han ye sach hai mai tere naam pe salaam padhta hun tere badan ki khushboo